Earn Money Online In Pakistan Full Guide In Urdu - Tricky Tips

Sunday, March 31, 2019

Earn Money Online In Pakistan Full Guide In Urdu

Earn Money Online: Hey Guys aj ham apko batany wale hai ki kaisy Online Earning kar saktay hain Pakistan me beth kar to guys agar ap bi Online Earning karna chahty hai Pakistan me beth kar to aj ham apko Online Earning ke hawaly se puri guide karein ge ki Pakistan me Online Earning kaisy karty hai our Online Earning karne ke kitne tariqy hain to post ko pura pariye our sikhiye Earn Money Online In Pakistan.


Best Methods To Earn Money Online In Pakistan

Best Methods To Earn Money Online In Pakistan

Guys Online Earning karny ke bohut se tariqy hai ap ko jis tariqy me intrested our knowlegde ho ap os tariqy se Earning kar sakty hai in me se kuch tariqy easy hai to kuch tariqy thora mushkil lakin jo tariqy mushkil ho agar ap us me thora sa bi intrested le ke kaam karen ge to apki kaafi achi Earning ho sakti hai to is post me se jo tariqa ap ko acha lagy ap os pe kaam karna start kariye our Earning karna shuro kariye.



Google Adsence

1. Google Adsence

Guys Google Adsence eik bohut hi popular tariqa hai ye eik Advertising Network hai jo Google ka eik Product hai is Network ki madad se ap apny website, Blog, Youtube Channel per Ads laga kar Earning kar sakty hai agar ham is Ad-Network ki Earning ki baad karen to ye Network apko eik click ke kaam se kaam $0.1 de sakti hai our ziada se ziada eik click ke $50 kabi kabi to is se bi ziada CPC mil jata hai ye sab apko ke Content per depend karta hai agar ap High CPC (Click Per Cost) wala Content likhty hai ya dikhaty hai to apko High CPC (Click Per Cost) mile ga our agar ap Low CPC (Click Per Cost) wala Content likhty hai to apko Low CPC (Click Per Cost) milega our agar ham is Ad-Network ki Turst ki baad karen to ap khud janty hai ki Google eik tursted Company hai jis per har koi turst karta hai our ap bi kar skty hai.


Affiliate Marketing

2. Affiliate Marketing

Affilite Marketing eik aisa tariqa hai jis se ap lakhon Earn kar sakty hai our log Earn kar bi rahe hai Guys is Affiliate Marketing me apko ye karna hota hai ki kisi bi E-Commerce Company ka Product apko logon tak pounchana hota hai our sell karna hota hai agar ap os E-Commerce Company ka Product sell karty hai to apko wo E-Commerce Company os Product ke sell ka Comission deti hai our agar gam yahan is tariqy se Earning ki baad karen to yahan per Earning ki koi haad nahi hoti ap is tariqy se eik mahine me lakhon Earn kar sakty hai ya os se bi ziada is me Earning apke sell per depend karta hai ki ap os E-Commerce Company ka kitna Product sell karty hai our os Product ka kitna Rate hai jitna Rate ziada hoga apko utna hi ziada Commission milega ab yahan ham Pakistan me Affiliate Marketing ki baad kare to ap kisi bi E-Commerce Company se Contact kar sakte hai Affiliate Program ke liye ya ap kisi bi Hosting Company se contact kar sakty hai Affiliate Program ke liye jo ki eik behtereen tariqa hai Affiliate Marketing ka.


Youtube

3. Youtube

Youtube ko aj kal kon nahi janta aj kal har koi Youtube istimaal karta hai chahy wo News ke liye ho ya Entertainment ke liye har koi Youtube istimaal karta hai lakin kiya apne kabi socha hai ki ap Youtube se ghar bethy Earning kar sakty hai agar ap nahi janty to ham apko bataty hai Youtube pe apko eik Channel kholna hota hai ab agar Topic ki baad karen to ap kisi bi Topic per Channel khol sakty hai jis me apko intrested ho our apko os ka Knowlegde ho Channel kholne ke baad apko os per Videos Upload karna hota hai jo Public dekhna chahty ho our apny Channel per Views our Subscribers barany hai ab os ke baad Youtube ke Monitization Policy ke tahad 4000 Hour Views our 1000 Subscribers hone ke baad apka Monitization Enable kiya jata hai our is me ap Adsence Connect kar sakte hai jis ke bare me ham ne pehly hi disscuss kar liya tha ab Youtube se Earning karne ka eik our tariqa bi hai ap pe kisi bi Company ya Person ke Product ko Promote karky bi Earning kar sakty hai jab apke achy khasy Subscribers ho jayen ge to Company apsy khud Contact kary gi our ap khud os Promotion ka Rate Tay karen ge our ap apne Channel per os Product ka Promotion karen ge our wo Company apko os Promotion ke Paisa den ge.


Blogging

4. Blogging

Blogging bi eik behtareen tariqa hai Online Earning karny ka ab Blogging bi same Youtube ki tarah hai is me bi apko apna eik Blog banana hai our logon ke sath apna Knowlegde share karna hai chahe wo kisi bi Topic per ho lakin Youtube our is me eik faraq hai Youbute me ap logon ko Videos ke zarye apni Knowledge share karty hai lakin Blogging me ap logon ko likh ke apni Knowledge share karty hai jaisa ki ap abi dekh our read kar rahe hai ki ham apko Blog ke zarye apni Knowledge share kar rahe hai ap bi is tarah logon ko apni Knowledge share kar sakty hai our kaafi achi Earning kar sakte hai our agar ham Blogging se Earning ki baat kare to ap Google Adsence ka use kar ke Earning kar sakty hai ya E-Commerce Companies ke Products ko sell kar ke bi Earning kar sakty hai ya phir ap Companies ke Products ki Promotion kar ke bi Earning kar sakty hai ab ye ap pe depend karta hai ki ap in me se konsa tariqa choose karty ho ya phir ap in sab tariqon ko eik sath bi choose kar sakty ho jis se apki Earning kaafi haad tak bar jayegi.

Read Full Detail Article About Blogging Here: What Is Blogging And How To Make Money From Blogging In Urdu


Freelancing

5. Freelancing

Freelancing eik aisa tariqa hai jo aj kal kaafi trend me chal raha hai our ye eik behtareen zarya hai Online Earning karne ka Freelancing ke zarye ap apne Products ko our apne ability ke zarye kaafi achi Earning kar sakty ho chahy apke pass jo bi ability ho our Knowledge ho ap apne Knowledge our ability ke zarye logon ki madad kar ke Earning kar sakty ho apko bass karna ye hai ki kisi bi Freelancing Website per Registered ho jana hai our apna eik attrative Profile banana hai our apne bare me our apne Service ke bare me batana hai taki agar logon ko apke Service ki zarorat pare to wo apsy Contact kar saken our apna jo bi Project hai usy Complete kar saken apke Profile banany ke baad log ap se apna kaam karwany ke liye Contact karen ge ap ne un ka Project Complete karna hai our wo apko os ke paise den ge.


Conclusion

Guys in sab tariqon me apko Passions ki bohut zarorat pare gi apko jitne ho sake mehnat karna hai our apny kaam acha karny ki koshish karna hai our kaabi bi hammat nahi haarna hai our eik time eisa ayega ki ap bi Online se kaafi achi Earning kar saken ge.

Check More: Earn money online | Earn unlimited from Zagl website with secret trick

Guys agar apko ye post pasand aye to nichy Comment Box me zaroor batayiye ga taki hamara Hosila Afzayi ho our ham apke liye our bi achi achi posts la saken our apne Friends ke sath bi zaroor share karen.




THANKS For Reading And Don't Forget To Share

6 comments:

  1. Amazing Explanation Thank You So Much

    ReplyDelete
  2. Sir Youtube best hai ya Blogging please reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar ApKo Videos Banana Acha Lagta hai To Ap Youtube Channel Create Kar Len Our Agar Apko Likhna Pasand Hai To Ap Blogging Kar Sakty Hai.

      Delete
  3. Use the link above to generate traffic and earn money up to $1 for every unique visitor that click your link and up to $10 for register moneey4click. money click karnataka bank

    ReplyDelete
  4. You’ll improve your game in no time with daily practice, and game nights will get next level with this classic saloon game. I The 8 Best Pool Tables Of All Time

    ReplyDelete