What Is Blogging And How To Make Money From Blogging Full Guide In Urdu
What Is Blogging?
Guyz Blogging ke through ham logon ko online apni knowledge share karty hai our logon ki help karty hai chahy wo kisi bi topic per ho like Technology, Education, Cooking, Fashion our thousands of topics hai jis per ap Blogging kar sakty hai Blogging me ham likh ke logon ki help karty hai jaisy agar hame agar kisi chiz ke bare me jaanna ho faraz karen ki hame "Blogging" ke bare me janna ho to ham Google per jaty hai our search karty hai "What Is Blogging" to hamary pass bohut saary results dekhny ko milty hai our ham kisi bi eik Blog pe click karty hai our us article ko read karty hai to wo article wahi article hota hai jo ki eik Blogger ne apne Blog per upload kiya howa hota hai our ap us article ko parh kar apny topic ke bare me puri knowledge hasil karty hai our ap Blogging ke through kafi achi earning bi kar sakty hai.Blogging ke major three types hai.
- Long Time Blogging
- Event Blogging
- Auto Blogging
1. Long Time Blogging
Long Time Blogging aisy Blogging ko kaha jata hai jis ko ham hamesha ke liye yani long time ke liye karty hai Long Time Blogging me ham apni knowledge apne viewers ke sath share karty rehty hai ye kisi specific time ke liye nahi hota balki ap hamesha Long Time Blogging ke zarye logon se apni knowledge share karty rehty hai our "Long Time Blogging" Blogging field me sab se popular our best type hai our ap Long Time Blogging se long time tak paisa kama sakty hai our Blogging se paisa kesy kamaty hai wo ham apko isi article me batayen ge Long Time Blogging ke liye apko aisy topics select karny party kai jo Long Time tak chaly yani us Blog ki zarorat hamesha logon ko party rahe our yahi waja hai ki ziyada tar Bloggers Long Time Blogging ko he select karty hai our ap jis topic per Long Time Blogging karna chahy kar sakty hai like- Technology Blog
- Cooking Blog
- Fashion Blog
- Travel Blog
- Health & Fitness Blog
- Rescued Animals Blog
- Self Defence Blog
- Bodybuilding Blog
- Photography Blog
- Graphics Design Blog
2. Event Blogging
Event Blogging ko ziada tar log paisa kamany ke liye choose karty hai kiyun ki Event Blogging se ap kam time me kaafi achi earning kar sakty hai Event Blogging me ap aisy tipics ko select karty hai jis ki zarozat logon ko eik specific time ke liye hoti hai our us time eik bohut baari tadaad me log is topics ko search karty hai like- Eid Ul Adha & Eid Ul Fitr
- Valentine Day
- PSL & World Cup
- Other Festivals
- Exam Results
- Christmas
- Friendship Day
- Mothers Day
3. Auto Blogging
Guyz Auto Blogging eik aisa Blogging method hai jis me apko kuch bi nahi karna perta balki ap apne Blog per dusiry Websites ke content ko publish karty ho our traffic generate karty lakin yahan eik baat dihyaan me rakhen ki Auto Blog kabi Google ya kisi dusury Search Engine me rank nahi hoga balki apko apne Auto Blog per Social Media ya kisi our method ke trough traffic lana hoga our Auto Blogging me eik baat ye bi hai ki agar ap us Website se jis se ap content le rahe ho ijazat bai lete to apka blog disable bi hone ke bohut chances hai is liye pehly apko us website se jis se ap content le rahe ho ijazat leni perti hai our phir ap us ke content ko apne Blog per dikha sakty ho Earning kar sakty ho Auto Blogging me ap kisi bi topic ko select kar sakty ho like- Technology News
- Fashion Trends
- Social News
- Cricket Scores
- PSL & World Cup Live Steaming
How To Make Money From Blogging ?
Guyz Blogging se earning karne ke bohut sare tariqa hai jis me se ham apko three popular methods ke bare me batayen ge.
- Google AdSense
- Affiliate Marketing
- Sponsorship
1. Google AdSense
Guyz Google Adsence eik bohut hi popular tariqa hai ye eik Advertising Network hai jo Google ka eik Product hai is Network ki madad se ap apny website, Blog, Youtube Channel per Ads laga kar Earning kar sakty hai agar ham is Ad-Network ki Earning ki baad karen to ye Network apko eik click ke kaam se kaam $0.1 de sakti hai our ziada se ziada eik click ke $50 kabi kabi to is se bi ziada CPC mil jata hai ye sab apko ke Content per depend karta hai agar ap High CPC (Click Per Cost) wala Content likhty hai ya dikhaty hai to apko High CPC (Click Per Cost) mile ga our agar ap Low CPC (Click Per Cost) wala Content likhty hai to apko Low CPC (Click Per Cost) milega our agar ham is Ad-Network ki Turst ki baad karen to ap khud janty hai ki Google eik tursted Company hai jis per har koi turst karta hai our ap bi kar skty hai.2. Affilite Marketing
Affilite Marketing eik aisa tariqa hai jis se ap lakhon Earn kar sakty hai our log Earn kar bi rahe hai Guyz is Affiliate Marketing me apko ye karna hota hai ki kisi bi E-Commerce Company ka Product apko logon tak pounchana hota hai our sell karna hota hai agar ap os E-Commerce Company ka Product sell karty hai to apko wo E-Commerce Company os Product ke sell ka Comission deti hai our agar gam yahan is tariqy se Earning ki baad karen to yahan per Earning ki koi haad nahi hoti ap is tariqy se eik mahine me lakhon Earn kar sakty hai ya os se bi ziada is me Earning apke sell per depend karta hai ki ap os E-Commerce Company ka kitna Product sell karty hai our os Product ka kitna Rate hai jitna Rate ziada hoga apko utna hi ziada Commission milega ab yahan ham Pakistan me Affiliate Marketing ki baad kare to ap kisi bi E-Commerce Company se Contact kar sakte hai Affiliate Program ke liye ya ap kisi bi Hosting Company se contact kar sakty hai Affiliate Program ke liye jo ki eik behtereen tariqa hai Affiliate Marketing ka.3. Sponsorship
Guyz Sponsorship se Bloggers kaafi achi earning karty hai is method me ham kisi company ya kisi person ke product ko promote karty hai our wo banda ya company hame pay karti hai our is ke trough hamari laafi achi earning ho jati hai agar ham earning ki baat kare to ye hamari Blog Traffic per depend karta hai kiyun ki ham khud rate tay karty hai kisi bi product ko promote karne ka agar hamare Blog per Traffic ziada hogi to ham apne rates ziada rakh sakty hai oir agar hamary Blog per Traffic kam hogi to ham rates kam rakhen ge our guyz is method se Bloggers $1000 bi earn karty hai.Conclusion
To guyz ham umeed karty hai ki apko Blogging ke bare me sab kuch clear ho giya hoga agar ap Blogging karna chahty hai to hamary Blogging Series ke trough sikh sakty hai our agar apko hamara ye post pasand aye to apne friends ke sath zaroor share karen.
THANKS For Reading And Don't Forget To Share
Great post sir thank your so much its so helpful and awesome explanation.
ReplyDeleteWow very interesting info. Thanks for it.
ReplyDeleteEvent Management Platform Pakistan
Regardless of on the off chance that you as of now have an office employment or your own business, making additional salary online or beginning a whole online profession is consummately doable. You can decide your very own hours, frequently working longer on ends of the week and twofold your salary all year essentially by putting in a couple of hours online, accomplishing something you like and you're great at, as present day businesses esteem abilities and worldwide ability considerably more than genuine, physical nearness. If you want to know more, Please check out here: https://amazingprofitsonline.com/is-no-cost-income-stream-2-0-any-good/
ReplyDelete