Best Urdu Keyboard With English To Urdu Translate Full Explain All The Features In Urdu - Tricky Tips

Thursday, March 28, 2019

Best Urdu Keyboard With English To Urdu Translate Full Explain All The Features In Urdu

Best Urdu Keyboard: Guys if you looking for the best Urdu Keyboard to write the Urdu language in your Andriod Phones then this post is for you with a full explanation in Urdu so read fully and follow all the steps that we will guide in this post.

Best Urdu Keyboard With English To Urdu Translate Full Explain All The Features In Urdu

Best Urdu Keyboard With English To Urdu Translate Full Explain All Features The In Urdu

Agar ap Urdu Keyboard talash kar rahe hain our ap apne Andriod Phones me Urdu Keyboard ka istimaal kar ke Urdu Language me likhna chahty hai to is post ko pura pariye ham apko is post me eik aisy Urdu Keyboard ke bare me batayen ge jis istimaal kar ke na sirf ap Urdu Language apne Andriod Phones me likh sakty hai balki ap ko is Urdu Keyboard me kuch our bi kamaal ke Features milenge jin ka istimaal ap Free me kar sakty hai to is post ko pura pari our ham apko is Urdu Keyboard ke kuck extra amazing Features ke bare me batayen ge.

How To Download Urdu Keyboard

Is Urdu Keyboard ko Download karny ke liye apko ye post pura parna pare ga ham apko is post ke akhair me eik Link provide karen ge jis se ap is Urdu Keyboard ko Download kar saken ge our ham apko ye bi batayen ge ki ap is Urdu Keyboard ke kuch Amazing our kuch khaas Features ko kaisy istimaal kar sakte hai our wo Features kiya hai to post pura pariye.



How To Install Urdu Keyboard In Andriod Device:

Urdu Keyboard ko apne Andriod Device me Install karne ke liye apko in steps ko follow karna hai.
Step 1: Urdu Keyboard ko nichy mujood Link ke madad se Download karen.

Step 2: Apne Andriod Device ke Download folder me jayen jis me apne apna Urdu Keyboard Download kiya hai.

Step 3: Ab Urdu Keyboard ko Open karen our apke samany do Options ayen ge ap Settings ko Select karen.

Step 4: Uske baad Unknown Source ko talash karen our Unknown Source ke Option ko Check Mark karen our OK per Click karen.

Step 5: Ab apke pass do Options ayen ge Cancel our Install ka ap Install ke Option per Click kar den our kuch dair intizaar karen.

Step 6: Ab apka Urdu Keyboard apke Andriod Device me Install ho giya hai ab ap Open ke Option ko Select karen.

Step 7: Apke pass eik New Window Open hogi ap ko wahan Select Easy Urdu ka Option nazar aye ga ap wahan Click kar den.

Step 8: Ab apko teen our Options nazar ayen ge English, Easy Urdu, Gboard apne Easy Urdu ko Select karna hai.

Step 9: Apka Urdu Keyboard Seccessfully Install ho giya hai ab ap apne Massage ya kahin bi jahan ap Urdu Language me likhna chahty hai likh sakty hai.

Note: Apne is baad ka khiyaal rakhna hai ki apka Urdu Keyboard Delete ya Uninstall na ho Delete ya Uninstall hone ki surat me apko ye sare Step phir follow karna parega our Urdu Keyboard ko phir se Install karna parega.

Easy Urdu Typing Exprience:

Easy Urdu Keyboard kamaal ka kaam karta hai ye na sirf Urdu Keyboard hai balki ap isme English language ko bi istimaal kar sakte hai lakin jahan har chiz me eik khubi hoti hai wahin eik khami bi zaroor hoti hai wo ye hai ki apko is Easy Urdu Keyboard ko istimaal karty howe kuch Ads ka samana bi karna parega joki eik Easy Urdu Keyboard User ke liye buri baat hai agar ap chahte hai ki is Easy Urdu Keyboard se Ads khatam ho to apko is Easy Urdu Keyboard ka Paid Version khareed na parega jo ki ap Playstore se khareed sakty hai ya phir is me eik our kamall ka Option hai Pakistani Users ke liye ki wo is Easy Urdu Keyboard ko Easypaisa ke through bi khareed sakte hai Lakin apko is Easy Urdu Keyboard ke Extra our Amazing Features ko istimaal karne ke baad zaroor is Easy Urdu Keyboard ke Developer ko daad diye baghair nahi reh saken ge.



Extra Amazing Features In This Easy Urdu Keyboard:

Guyz ab ham baad karte hai is Easy Urdu Keyboard ke Extra Amazing Features ke bare me to Guyz is Easy Urdu Keyboard me jo sab se Amazing Features hai wo is me mojood Auto English To Urdu Translate Keyboard System hai is Features ke madad me ap English me likh ke Automatically Urdu me hasil kar sakty hai ab Guyz ye apko English Language ko Urdu me Translate kar ke nahi de ga balki ap jaisy WhatsApp ya Massage me kisi ko Urdu Language me lakin English Writting me jaisy abi ap jo post Read kar rahe ho us tarah jab ap likhty hai to wo Urdu Language me Automatically Translate ho jata hai.
e.g:
     " Ye Easy Urdu Keyboard Kamaal Ka Hai "  

   After Use Easy Urdu Keyboard

     " یہ ایزی اردو کی بورڈ کمال کا ہے  "

Click Download Button To Download Easy Urdu Keyboard:




Read More: Full Guide About Insurance In Pakistan In Urdu [اردو]

Conclusion:

Guyz agar apko hamara ye post pasand aye to Please niche Comment kar ke zaroor bataye ga taki hamari hosila afzayi ho our ham apke liye our bi is tarah ke achy achy Posts la sake our apne Friends ke sath bi zaroor Share karen.

THANKS For Reading And Don't Forget To Share

No comments:

Post a Comment