What are the disadvantages of information sharing on any Website? Urdu/Hindi - Tricky Tips

Friday, April 20, 2018

What are the disadvantages of information sharing on any Website? Urdu/Hindi

 What is the disadvantages of information sharing on any Website: Hi! Friends if you use the internet and search your all problems on the Internet then defiantly you can registered on many websites today I will show you the disadvantages of information sharing on any websites

 What are the disadvantages of information sharing on any Website ? Urdu/Hindi

 What are the disadvantages of information sharing on any Website? Urdu/Hindi


Assalamu Alaikum!

Doston kiya aap ne kabi socha hai ki apke har naye aane wale Website per apne Details our E-mail ID dene se apko kia nuqsaan uthana per sakta hai. Doston ajj ke is post ma ham apko isi hawale se batayienge ki What is the disadvantages of information sharing on any Website ? to doston is post ko pura parieye taaki apko aage ane wale time ma koi problem ka samana karna na pare.

What are the disadvantages of information sharing on any Website?


Doston ajj kal har naye din eik new Website launched hota hai our ham baghair kuch soche samjhe our kisi dusare person ke kehne per apna saara information us Website ko de dete hai sirif is gharaz se ki wahan per eik baar visit karna hai. Doston aap khud dekh rahe honge ki ajj kal har koi Online Earning karna chahta hai lakin is baad ka kisi ko koi perwa nahi ki uski saari information record kiya jaraha hai. Doston apne khud dekha ki world ki sabse baari Social media network Facebook ko bi hacked kar liya giya tha our 50 Million logon ka data chura liya giya tha to doston aap andaza laga sakte hai ki agar world ki sabse bari Social Media Network ko hacked kiya ja sakta hai to ye rooz ke aane wale Website per kiya atibaar.


What is the reason that these Websites collect your data?

Doston apke data ko collect karne ke bohut se reason ho sakte hai jinka aap andaza bi nahi laga sakte. Doston sabse baara reason jiske liye apka data collect kiya jata hai wo hai apke tamaam information ko store rakha our jab chahien jiase chahien uska istimaal karna ab doston ap soch rahe honge ki hamare information ko store rakhne ka in Website ko kiya fayeda ho sakta hai to doston ma apko batadung ki ye Website apke information ko kisi bi third party person ya Website ko thore se paisa ke liye bejj sakta hai ya jab chahien apko kisi bi tarah ka Mail bejj sakta hai chahie apki marzi ho us Mail ko parne ka ya naho wo Website apko apke interest ko dekh kar Mails bejjta rahe ga.


Then all the Websites are fake and we are not safe to visit any Website?

Doston ma ye nahi kehta ki aap kisi bi Website per Register na hog lakin doston aap kisi bi Website per Register hone se pehly us Website ke bare ma information collect kar lien ki ye Website kahin fake ya fraud to nahi iska andaza aap asani se laga sakte hai ki ye Website government se registered hai ya nahi is tarah aap asani se maloom kar sakte hai. Doston ma ap ko batadung ki aap jab bi kisi Website per Register hon aap us Website ke Privacy policy ko eik baad read kar lien taaki apko us Website ke Privacy policy ke barema pata chal sakien magar ajj kal bohut kam hi log hote hai jo Website ke Privacy policy ko read karte hai bass sabko registered karne ki jaldi hota hai our skip kar dete hai.



Conclusion

Doston ham umeed karty hain ki apko hamara ajj ka ye post pasand aya hoga agar apko hamara ajj ka ye post pasand aye to isko ziada se ziada share karien.


Thanks For Reading And Don't Forget To Share

No comments:

Post a Comment